Kya Andy Pycroft ne Pakistan se maafi maangi?, jaaniye video ka sach

Kaif Pic By Kaif - Sep 18, 2025 11:50 AM
Last updated on Sep 18, 2025 01:07 PM
Kya Andy Pycroft ne Pakistan se maafi maangi?, jaaniye video ka sach

Image Source: ICC

Kya Andy Pycroft ne Pakistan se maafi maangi?: No-handshake' vivaad shaant hone ka naam hi nahi le raha hai. Is maamle mein, Pakistan Cricket Board (PCB) ka ek mute video social media par tezi se phail raha hai. Is video mein, team ke captain Salman Ali Agha, head coach Mike Hesson, aur ek PCB official ko match referee Andy Pycroft se baat karte hue dekha jaa sakta hai.

Andy Pycroft ka VIDEO Tezi se ho raha Viral

Dar-asal, Pakistan ne UAE ko Asia Cup 2025 ke 10th match mein 41 runs se harakar Super-4 mein apni jagah banayi. Is match mein Pakistan ki jeet ke baad, social media par tezi se ek video viral ho raha hai.

PCB ne jo mute video jaari kiya, usme aisa dikhane ki koshish ki gayi ki referee Pycroft maafi maang (Andy Pycroft Apology) rahe hain. Lekin fans ne is daave ko seriously lene ke bajay iska mazak uda rahe hain.

Halanki, is video mein koi audio nahi hai. Board ne aage kaha ki PCB ne Andy Pycroft ki harkaton par sakht pratikriya di hai. Pycroft ne 14 September ki ghatna ko galatfehmi ka nateeja bataya aur maafi maangi hai. ICC ne match ke dauran hue aachaar sanhita ullanghan ki jaanch karne ki baat kahi.

Fact Check: Kya Andy Pycroft ne captain Salman Agha se maafi maangi?

Kya Andy Pycroft ne captain Salman Agha se maafi maangi?

Image Source: X

Indian media ki reports kuch aur hi kahani bata rahi hain. Reports ke mutabik, poore vivaad ke beech match referee Andy Pycroft ne Pakistan captain Salman Ali Agha aur team manager Naveed Akram se mulaqat ka prastav rakha tha.

Report mein kaha gaya hai ki is meeting mein coach Mike Hesson bhi maujood the. Yeh meeting Dubai International Stadium mein Pycroft ke room mein hui, jahan referee ne Pakistan camp se sambhavit galatfehmi ko lekar baat ki.

Ek source ne bataya ki yahan maafi ki koi baat hi nahi thi. Khaaskar us shakhs ki taraf se, jisne koi galti hi nahi ki.

Also Read: Best Telegram Channels for Sports News - Possible11

'No-Handshake' ka Poora Maamla kya?

Yeh poora maamla 14 September 2025 ko India aur Pakistan ke beech khele gaye Asia Cup ke Group-A match se juda hai. Pahalgam ghatna ke baad dono deshon ke beech tension jaari hai aur iske baad pehli baar India-Pak ki teams aamne-saamne aayin. India ne is match mein Pakistan ko 7 wickets se haraya.

Match ke toss ke samay, Indian captain Suryakumar Yadav ne na toh haath milaya aur na hi Pakistani captain se nazrein milayin. Unhone match jeetne ke baad bhi Indian khiladiyon ne Pak khiladiyon se haath milane se parhez kiya. Yahan tak ki Surya dwara team dressing room ka darwaza band karne ka video bhi viral hua.

Iske jawab mein, Pak captain Salman Ali Agha ne post-match presentation mein hissa hi nahi liya. Iske baad maamla aur garam ho gaya. Pakistan team management ne official complaint file ki aur kaha ki haath na milana khel bhaavna ke khilaf hai. Unhone yahan tak dhamki di ki agar match referee Andy Pycroft ko unki team ke matches se nahi hataya gaya toh woh tournament se bahar ho jayenge. Nateeja yeh hua ki PAC vs UAE match ek ghante deri se shuru hua kyunki Pak khiladi ground par aane ko taiyar nahi the.

Also Read: Who is Andy Pycroft?, Biography, Net Worth, Career, and Controversy

Give Your Feedback



Disclaimer

Possible11 is committed to complying with the Promotion and Regulation of Online Gaming Bill, 2025 in India, which prohibits all forms of real-money online gaming, including betting and fantasy sports. We do not promote, endorse, or engage with any betting apps, fantasy sports platforms, or real-money gaming services. Our platform is actively reviewing and removing all content related to betting and fantasy sports to align with the new regulations. We are transitioning to focus solely on providing sports news, live scores, player stats, and tournament updates for sports fans. All content on our website and app is now intended for informational purposes only. We appreciate your patience and understanding during this transition process.

casinos not on GamStop

casinos not on GamStop