Image Source: X
Rishabh Pant Ki Absence Jari: Indian team ke upkaptaan Rishabh Pant England ke khilaaf Lord's mein khele ja rahe teesre Test match ke doosre din bhi maidan par nahi utre, aur unki jagah Dhruv Jurel ne wicketkeeping ka zimma sambhala. Pant pehle din ke khel ke dauraan chotil ho gaye the jiske baad woh maidan se bahar chale gaye the. Chot lagne ke baad maidan mein diye gaye upchaar ke baad bhi Pant ko koi fayda nahi hua aur woh maidan se bahar chale gaye the jinki jagah Dhruv Jurel ko bheja gaya, jabki woh teesre Test ke liye antim ekadash mein bhi shamil nahi the.
UPDATE:
— BCCI (@BCCI) July 11, 2025
Rishabh Pant is still recovering from the hit on his left index finger. The BCCI medical team continues to monitor his progress. Dhruv Jurel will continue to keep wickets on Day 2.#TeamIndia | #ENGvIND pic.twitter.com/nwjsn58Jt0
Rishabh Pant ki injury update: Rishabh Pant ko teesre Test match ke pehle din wicketkeeping karte hue baayein haath ki ungli mein tab chot lagi thi jab unhone 34th over mein Bumrah ki ball ko rokne ka try kiya tha. Ye ball unki ungli ko lagti hui peeche ki taraf chali gayi thi aur chotil hone ke baad woh maidan se baahar chale gaye the. Ummeed ki ja rahi thi ki woh doosre din maidan par utar sakte hain, lekin aisa nahi hua. Halaanki achhi baat ye hai ki unki ungli mein koi fracture nahi hai.
BCCI (Board of Control for Cricket in India) ne bataya ki Pant baayein haath ki tarjani ungli ki chot se abhi ubhar nahi paaye hain aur teesre Test ke doosre din England ki pehli paari ke bache hue hisse ke dauraan wicketkeeping nahi karenge. Pant ne match ke doosre din ka khel shuru hone se pehle abhyaas karne ki koshish ki, lekin woh poori tarah sahaj nahi dikhe.
Dhruv Jurel takes the gloves as Rishabh Pant goes off for treatment on his hand ? pic.twitter.com/LGDgi34IN7
— Sky Sports Cricket (@SkyCricket) July 10, 2025
Umeed ki ja rahi thi ki woh doosre din maidan par utar sakte hain, lekin aisa nahi hua. Halaanki, achhi baat ye hai ki unki ungli mein koi fracture nahi hai. Pant ka jald theek hona Bharatiya team ke liye behad zaroori hai. Woh in dino shandaar form mein chal rahe hain. Dhruv Jurel bhale hi wicketkeeping kar rahe hon, par woh Pant ki jagah batting karne nahi aa sakte hain. BCCI ki reports se lagta hai ki woh jaldi hi theek ho jayenge.
Also Read: Top 5 Batsmen with Most Test Runs Against India
Give Your Feedback