Image Soure: X
When Will IPL 2025 Resume: Pakistan ke beech badh rahe tanav ke chalte Bharatiya Cricket Control Board yani BCCI ne IPL 2025 ko ek hafte ke liye suspend kar diya tha. Ab jab 10 May ko dono deshon ke beech ceasefire lagu ho gaya hai toh IPL ko phir se shuru kiya ja sakta hai. Aise mein sambhavit tareekh saamne aa rahi hai. Report mein bataya ja raha hai ki is din se ab IPL ki phir se shuruat ho sakti hai.
Kab se dobara shuru hoga IPL 2025: Times of India ki report ke anusaar agle weekend se pehle yani 15-16 May tak IPL phir se shuru ho sakta hai. BCCI jald hi naye schedule ka elaan karega. Bata dein, IPL 2025 ke abhi tak 57 match khele ja chuke hain. PBKS vs DC match se hi season ko suspend kar diya gaya tha. Issi match se IPL shuru hoga.
Also Read: Why Virat Kohli Wants To Retire From Test Cricket
Report ke anusaar, “Board of Control for Cricket in India (BCCI) bache hue match ka fixtures ko antim roop dene ke liye ek meeting kar raha hai, aur yeh vishwasniya roop se samjha jaata hai ki Dharamshala ko chhodkar, match poore Bharat mein khele jayenge.” Bataya gaya hai ki Shukrawar aur Shanivar ko Bharat chhodne wale adhiktar videshi khiladiyon ko jald se jald apni-apni teams mein shaamil hone ke liye kaha jayega.
? IPL 2025 IS LIKELY TO RESUME ON THURSDAY or FRIDAY ? [Sahil Malhotra from TOI] pic.twitter.com/kqKrJ0W0Ak
— Johns. (@CricCrazyJohns) May 10, 2025
Aapko bata dein ki IPL ke maujooda 2025 sanskaran mein 10 teams ke liye 60 se adhik videshi khiladi khel rahe hain. Ab tak kul 57 match khele ja chuke hain aur baaki match bhi tay samay mein poore ho jayenge. BCCI aane wale dino mein naya schedule jaari karega.
Bata dein, IPL 2025 ke suspend hone se pehle points table mein Shubman Gill ki agwai wali Gujarat Titans top par bani hui thi. Wahin unke alawa top-4 mein Royal Challengers Bengaluru, Punjab Kings aur Mumbai Indians hain. Ab dekhna yeh hoga ki IPL 2025 ke playoffs mein yahan se kaun-kaun si pahunchne mein kamyaab rehti hai.
Also Read: India aur Pakistan ke Beech Kab Kab Hua Hai Ceasefire? aur iska Matlab Kya Hai?
Give Your Feedback