Virat Kohli ne Test cricket se sanyaas le liya hai. Isi ke saath Kohli ne 14 saal ke Test career ko alvida keh diya hai. Kohli ab sirf ODI cricket khelte hue dikhaai denge.
Unhone T20 World Cup-2024 jeetne ke baad is format ko alvida keh diya tha. Kohli ne apne career mein har gendbaaz, har team ko nishana banaaya. Halaanki, ek team aisi rahi jiske khilaaf Virat ko har koi Test khelte dekhna chaahta tha, lekin woh aisa nahi kar paaye.
Virat Kohli ke naam Test cricket mein 123 matches mein kul 30 shatak hain. Is dauraan unka average 46.85 ka raha aur unke balle se 31 ardhshatak bhi nikle. Hum aapko bata rahe hain Virat ne kis desh ke khilaaf kitne shatak jamaaye aur woh kaunsi team hai jiske khilaaf chaahte hue bhi Kohli Test debut nahi kar paaye aur shatak nahi laga paaye.
Team | Number of centuries |
---|---|
Australia | 9 |
England | 5 |
Sri Lanka | 5 |
New Zealand | 3 |
South Africa | 3 |
West Indies | 3 |
Bangladesh | 2 |
Kohli ne sabse zyaada Test shatak Australia ke khilaaf lagaaye hain – kul 9 shatak. Yeh aankda unke jujhaarupan aur videshi dharti par perform karne ki kshamta ko darshata hai. Australia jaisi mushkil team ke khilaaf itni baar century jamaana apne aap mein ek badi uplabdhi hai.
Kohli ne England aur Sri Lanka ke khilaaf 5-5 Test shatak lagaaye hain. England ki pitchon ko ballebaazon ke liye challenging maana jaata hai, lekin Kohli ne wahaan bhi apni class dikhaai hai. Wahin Sri Lanka ke khilaaf unhone gharelu aur videshi dono hi zameeno par shandaar paariyaan khelin.
Also Read: Virat Kohli ne test cricket se achanak Retirement kyu liya?
Inn teeno teams ke khilaaf Kohli ne 3-3 shatak lagaaye hain, jo unke nirantar pradarshan ko darshata hai. Inn deshon ki gendbaazi hamesha se damdaar rahi hai, lekin Kohli ne unke khilaaf bhi apne balle se jawaab diya.
Kohli ne Bangladesh ke khilaaf 2 Test shatak lagaaye hain. Halaanki is team ke khilaaf Bharat ko kam mauke mile, phir bhi Kohli ne apni chhaap chhodi.
Kohli ne apne Test career mein sabse zyaada shatak Australia ke khilaaf banaaye hai. Is team ke khilaaf Kohli ne kul 30 match khele jismein 43.76 ki average se 2232 run banaaye jismein 9 shatak shaamil rahe. Iske baad Kohli ne England aur Sri Lanka ke khilaaf 5-5 shatak jamaaye. England ke khilaaf Kohli ne 28 matches mein 42.36 ki average se 1991 run banaaye. Wahin Sri Lanka ke khilaaf Kohli ne kul 11 Test match khele aur 67.81 ki average se 1085 run banaaye.
New Zealand, South Africa aur West Indies ke khilaaf Kohli ke balle se 3-3 shatak nikle. South Africa ke khilaaf Kohli ne 16 matches mein 54.15 ki average se 1408 run banaaye. New Zealand ke khilaaf 14 matches mein 38.36 ki average se 959 run banaaye. West Indies ke khilaaf 16 matches mein Kohli ke balle se 1019 run nikle aur is dauraan unka average 48.52 ka raha hai.
Also Read: Top 5 best Test records of Virat Kohli
Give Your Feedback