IND-W vs AUS-W Match Highlights: Australia ne Pehla ODI Match 8 wicket se jeeta

Akshay Pic By Akshay - Sep 14, 2025 09:30 PM
Last updated on Sep 14, 2025 09:34 PM
IND-W vs AUS-W Match Highlights: Australia ne Pehla ODI Match 8 wicket se jeeta

IND-W vs AUS-W Match Highlights: World Cup 2025 se pehle Bharatiya Mahila Team ko bada jhatka laga hai. Harmanpreet Kaur ki team ko Australia ke khilaf haar ka samna karna pada. Teen matchon ki ODI series ke pehle match mein Australia ne Bharat ko 8 wicket se hara diya. Australia ki teen batsmanon ne ardhashatak jade.

IND-W vs AUS-W Match Highlights: Australia ne Pehla ODI Match 8 wicket se jeeta

Apna 150va ODI match khel rahi Harmanpreet Kaur ne toss jeet kar pehle batting karne ka faisla kiya. Smriti Mandhana aur Pratika Rawal ne Bharat ko shandaar shuruaat di. Dono ne mil kar pehle wicket ke liye 18 over mein 100 run jode. Yeh partnership 114 ke score par tooti. Mandhana 58 run banakar run out ho gayi. Iske baad team pressure mein aa gayi.

Achhi shuruaat ke baad ladkhadi Bharatiya pari.

Pratika Rawal jab 64 run bana kar out hui, to Bharatiya team par dabav saaf dikhai dene laga. Captain Harmanpreet sirf 11 run banakar out ho gayi. Dusre chhor par nazar banaye baithi Harleen Deol ne ardhashatak jamaya. Halanki, woh ise badi pari mein nahi badal saki.

Harleen 54 run banakar out hui. Jemima Rodrigues ne 18, Richa Ghosh ne 25, Deepti Sharma ne nabad 20 run ka yogdan diya. Radha Yadav ne 19 run banaye. Australia ke liye Megan Schutt ne do wicket liye. Bharat ne 50 over mein 7 wicket ke nuksan par 281 run banaye.

Lakshya ka peecha karne utari Australia ko 45 ke score par pehla jhatka laga. Captain Eliza Healy 27 run banakar out ho gayi. Dusre chhor se Phoebe Litchfield ne apni aakramak batting jari rakhi. Anubhavi batter Ellyse Perry 30 run banakar retired hurt ho gayi. Wahin, Litchfield 80 gendon par 88 run banakar Sneh Rana ka shikar bani.

Iske baad Australia ne koi aur wicket nahi gaya. Poorv captain Beth Mooney aur Annabel Sutherland ne team ko jeet dilai. Beth Mooney ne 74 gendon par nabad 77 run banaye, jabki Sutherland 51 gendon par 54 run banakar nabad rahi. Kranti Gaur aur Sneh Rana ne ek-ek wicket liya. Australia ne 1-0 ki badhat bana li hai.

Give Your Feedback



Disclaimer

Possible11 is a sports news platform that provides live scores, player statistics, and tournament updates for informational and educational purposes only. We comply with the Online Gaming Bill, 2025 (India) and do not promote or engage with fantasy sports, betting, or real-money gaming platforms. All content is intended solely to enhance the sports experience. Possible11 is not affiliated with any fantasy or gambling applications and is not responsible for any financial gains or losses incurred on external platforms.

casinos not on GamStop

casinos not on GamStop