Navratri 2025: Is saal Sharadiya Navratri September ke mahine mein shuru ho rahi hai. Is saal Navratri 9 din ki jagah 10 din ki hogi. Kashi ke jyotishacharya Pt. Sanjay Upadhyay ne Navratri ke baare mein mahatvapurn jankari di hai.
Shardiya Navratri 2025 Kab Se Shuru? 22 Ya 23 September?
September mahine mein varsh ke sabse pramukh parv Shardiya Navratri ki tithiyan hoti hain. Aise mein Pitripaksh ke baad hi Shardiya Navratri prarambh ho jayega. Jankaron ki maane to is baar 10 din tak Shardiya Navratri chalne wali hai, jiska dauran shraddhaluon dwara kiye gaye poojan vishesh phaldayi hote hain.
22 September se shuru ho rha hai shardiya navratri parv
Kashi ke jyotish vidya ke jaanakar Pandit Sanjay Upadhyay ne bataya ki - pramukh parv Shardiya Navratri is varsh 22 September se shuru ho raha hai. Navratri ki Chaturthi tithi 25 aur 26 September dono din rahegi.
Is vajah se yah Navratri 10 din ka hoga. Navami 1 October ko manai jayegi. Iske bilkul agle din 2 October ko Vijayadashami ka parv manane ki tithi hai. Ek sukhad sanyog hai jab is baar Shardiya Navratri ka parv 10 din ka hoga. Mata ke gaj par aane se logon ko sukh samriddhi aur aroghya ki prapti hogi. Yah Navratri rashtra ki unnati aur pragati ke liye bhi ati mahatvapurn hai.
Pure Navratri log karte hain vidhi vidhan se puja
Bharatvarsh mein Chaitra aur Shardiya Navratri mahatvapurn parv mein se ek mana jata hai. Shardiya Navratri par mata ke alag-alag swaroop ki shraddhalu pooja karte hain. Saatvik aahar, brahmacharya aur sanyamit jeevan ke saath har tithi par Maa Durga ki pooja ki jati hai.
Shardiya Navratri par Durga pooja pandal bhi lagaya jata hai jismein bhari sankhya mein log pahuchte hain. Shehar mein ek alag hi raunak dekhi jati hai. Aise mein logon ko pure varsh Navratri ka besabri se intezar rehta hai.