Image Source: X
Raksha Bandhan kyu manaya jata hai?: bhai-behan ke pavitra prem aur atoot rishte ka prateek, Indian culture ka ek important festival hai. Yeh sirf ek dhaaga baandhne ka utsav nahi hai, balki sadiyon purani traditions, historical events aur mythological stories ka sangam hai. "Raksha" ka matlab hai protection aur "Bandhan" ka matlab hai bond. Yeh festival har saal Shravan maas ki Purnima ko manaya jaata hai, jab behenein apne bhai ki kalai par rakhi baandhkar unki lambi umar aur khushhaali ki kamna karti hain, aur bhai apni behen ki life-long protection ka promise dete hain. Is article mein, hum is festival ke historical aur mythological aspects par detail mein discuss karenge.
Jaaniye kyu manaya jata hai Raksha Bandhan?
Raksha Bandhan ke piche kai mythological stories juri hui hain, jo ise religious point of view se aur bhi special bana deti hain:
1. Bhagwan Krishna aur Draupadi
Image Source: X
Mahabharat period ki ek famous story ke according, Shishupal ko maarte waqt Bhagwan Krishna ki ungli mein chot lag gayi thi aur usse khoon behne laga tha. Yeh dekhkar Draupadi ne immediately apni saari ka pallu faadkar unki ungli par baandh diya. Draupadi ke is selfless love aur dedication se khush hokar, Bhagwan Krishna ne unhe promise kiya ki woh har mushkil mein unki protection karenge. Yeh promise unhone Cheer Haran ke time nibhaya, jab Dushasan ne bhari sabha mein Draupadi ko insult karne ki koshish ki thi. Is incident ko aksar bhai-behan ke rishte ki gehraai aur protection ke promise se joda jaata hai. isly Raksha Bandhan mnaya jata hai.
Yam aur Yamuna
Image Source: X
Ek aur mythological story ke hisaab se, death ke god Yam apni sister Yamuna se 12 saal tak nahi mile the. Jab woh unse milne gaye, toh Yamuna bahut khush hui aur unhone Yamraj ka welcome kiya. Yamuna ke pyaar se impress hokar, Yam ne unhe blessing maangne ko kaha. Yamuna ne unse har saal milne ka promise maanga. Yamraj ne yeh blessing di aur kaha ki jo bhi bhai-behan Yamuna mein bath lega, woh paap se free ho jayega. Is story ko bhi bhai-behan ke beech ke pavitra rishte ka (Raksha Bandhan) symbol maana jaata hai.
Raja Bali aur Devi Lakshmi
Image Source: X
Vaman avatar ke time Bhagwan Vishnu ne Raja Bali se teen steps (pag) zameen daan mein maangi thi. Jab Bali ne daan accept kar liya, toh Vaman ne apne huge form mein do steps mein earth aur heaven ko measure kar liya aur teesra step Bali ke sir par rakha, jisse woh Patal Lok chale gaye. Bali ki devotion se khush hokar, Bhagwan Vishnu ne unke saath Patal Lok mein rehne ka decision liya. Bhagwan Vishnu ke Vaikunth wapas na lautne par Devi Lakshmi worried ho gayi. Unhone Bali ke paas jaakar unhe rakhi baandhi aur unhe apna brother maan liya. Bali ne khush hokar Devi Lakshmi se blessing maangne ko kaha. Devi Lakshmi ne apne husband Bhagwan Vishnu ko wapas Vaikunth le jaane ki blessing maangi. Is incident ko bhi rakhi ke bond aur uski sacred importance se joda jaata hai.
Historian events aur Raksha Bandhan
Mythological stories ke alawa, Indian history mein bhi Raksha Bandhan se related kai important events hain.
Rani Karnavati aur Samrat Humayun
Image Source: X
Yeh sabse famous historical stories mein se ek hai. 16th century mein, jab Chittor par Bahadur Shah ne attack kiya, toh Mewar ki widow Rani Karnavati ko apni aur apne state ki safety ki tension hui. Unhone Mughal Emperor Humayun ko rakhi bhejakar unse help maangi. Humayun, jo us time ek war mein busy the, ne rakhi ka respect kiya aur immediately apni army ke saath Chittor ki taraf move kiya. Although, woh time par nahi pahunch paye aur Rani Karnavati ne Jauhar kar liya, lekin Humayun ke is act ne bhai-behan ke rishte ke symbol ke roop mein rakhi ki importance ko establish kar diya. Is incident ne yeh bhi dikhaya ki rakhi ka bond religion aur caste se alag hota hai.
Also Read: रक्षा बंधन 2025: जानिए राखी बांधने का शुभ मुहूर्त और भद्रा का महत्व
Sikandar aur Raja Puru
Ek aur historical story ke according, jab Alexander the Great ne India par attack kiya, toh unki wife ne Raja Puru ko rakhi bheji thi. War ke battlefield mein, Raja Puru ne Alexander ko ek baar harane ka mauka milne ke baad bhi, rakhi ke respect mein unhe life de di. Yeh story bhi rakhi ke promise aur respect ko show karti hai.
Raksha Bandhan 2025 mein kab hai?
Image Source: X
Raksha Bandhan 2025 mein 9 August (Saturday) ko manaya jayega. Is din behenein subah nahakar thali sajati hain, bhai ko tilak karti hain, rakhi baandhti hain aur mithai khilati hain. Bhai unhe gift deta hai aur hamesha protection karne ka promise karta hai.
Also Read: Full story: 120 Bahadur movie based on Battle of Rezang La