Header Ad

Muharram 2025: Date, Jaane Muharram Mein Kya Hua Tha, Full History

Know more about KaifKaif - July 01, 2025 07:18 PM

Image Source: X

Muharram 2025 Date: Islamic calendar ka pehla mahina Muharram hota hai. Islam dharm mein is mahine ko bahut hi pavitra aur khaas mana jaata hai. Islam mein total chaar (4) sacred months maane jaate hain aur Muharram unhi mein se ek hai. Is mahine mein jang karne ki manaahi hoti hai aur log Khuda ki ibaadat mein doobe rehte hain.

Islam dharm mein maanyata hai ki is mahine mein kiye gaye acche kaamo ka fal kai guna badhkar milta hai. Islamic calendar ko Hijri Calendar bhi kehte hain, jo chandrama ke hisaab se chalta hai. Is wajah se iski tareekhein har saal badalti rehti hain. Is calendar ke hisaab se naya mahina tab shuru hota hai, jab naya chand dikhai deta hai. Saal 2025 mein Muharram ki tareekh ko lekar logon ke mann mein confusion hai. Aise mein aaiye jaante hain Bharat mein Muharram ki date.

Kab Hai Muharram?

Image Source: X

Islamic calendar ke mutabik, is baar Muharram ki shuruaat 26 June 2025 ki raat se hone ki sambhavna hai. Jaise hi aasmaan mein naya chand nazar aayega, waise hi Islami naye saal ki shuruaat ho jaayegi. Halanki iski tareekh chand dikhne par hi decide hoti hai. Muharram ke dasven din ko Ashura kaha jaata hai, jo bahut hi khaas aur dukh bhara din hota hai. Saal 2025 mein Ashura ki tareekh 6 July ko padne ki possibility hai. Bharat mein usually Muharram ke 10ven din yaani 6 July 2025, Sunday ko Ashura manaya jaayega.

Muharram Mein Kya Hua Tha?

Muharram ko Islam mein chaar (4) pavitra mahinon mein se ek mana gaya hai. Is mahine mein war karna mana hai. Muslims is mahine mein Khuda ki ibaadat karte hain, roza rakhte hain aur nek kaamon mein aage rehte hain. Muharram ke 9ven aur 10ven din roza rakhne ka bhi khaas mahetva hota hai.

Ashura Muharram mahine ka 10va din hota hai. Is din ki sabse badi wajah hai Karbala ka dardnaak history. Is din Islam dharm ke Paigambar Mohammad Sahab ke naati Hazrat Imam Hussain aur unke family members ko Iraq ke Karbala maidan mein shaheed kar diya gaya tha.

Hazrat Imam Hussain ne us samay ke zaalim ruler Yazid ke saamne jhukne se mana kar diya tha. Woh apne family aur kareeb 72 companions ke saath Karbala pahunche the. Yazid ki army ne unhein chaaron taraf se gher liya tha. Haalaat itne kharab ho gaye ki bachchon tak ko paani nahi diya gaya. Imam Hussain ka 6 mahine ka beta Ali Asgar bhi wahin shaheed hua tha. Finally, 10 Muharram (Ashura) ke din Imam Hussain ko bhi shaheed kar diya gaya.

Kyun hota hai Muharram mein Maatam?

Muharram sirf naye saal ka mahina nahi balki tyaag (sacrifice), balidaan (martyrdom) aur satya ke liye ladai ka prateek ban gaya hai. Imam Hussain aur unke family ki kurbani ko yaad karte hue is mahine ko shok ke roop mein manaya jaata hai. Wahin, kai jagahon par is din taziye nikaale jaate hain, log Karbala ki ghatna ko yaad kar maatam manate hain. Isliye Muharram ko shok ka mahina kaha jaata hai aur Musalman poori shraddha ke saath is mahine mein ibaadat karte hain.

About the Author:

Kaif Ansari Writter

Kaif Ansari

I have a keen interest in sports. I like cricket, football, hockey, badminton, and kabaddi the most. I am a fan of CSK in IPL. My favorite players are Virat Kohli and MS dhoni. My passion for the game stems from his childhood dream of becoming a cricketer. However, that path did not come forth, so I chose an alternate career in cricket, incorporating my love for journalism. I have been writing about cricket and other sports for the last 5 years. I started my journey in sports journalism with Possible11 in 2021 and have been working for them since then.

More Articles from Kaif