Image Source: X
2014 mein jab se Narendra Modi ki aguvayi mein kendra mein BJP ki aguvayi wali sarkar bani hai, party ne ek aghoshit parampara vikasit ki hai. Parampara yeh hai ki 75 varsh ke ho jaane par iske neta retirement le lete hain. Party ke kayi poorv saansadon, rajyapaloo ko isi wajah se na toh ticket mila aur na hi unka karyakaal badhaya gaya.
BJP ke vaicharik sangathan RSS ke pramukh Mohan Bhagwat ne Nagpur mein isi vichar ke तहत ek aisi tippani kar di hai, jise PM Modi ke retirement se joda ja raha hai. Bhagwat ne kaha hai ki '75 saal matlab umra ho gayi'.
Kya hai Modi Ji ki (Age) aayu?
Image Source: X
Saal 2025 mein 17 September ko Pradhan Mantri Narendra Modi 75 varsh ke hone wale hain.
Rashtriya Swayamsevak Sangh (RSS) ke pramukh Mohan Bhagwat ne sujhav diya hai ki netaon ko 75 saal poore hone par retire ho jaana chahiye. Sanyog se khud Bhagwat bhi isi saal 75 saal ke hone wale hain. 9 July ko unhone Nagpur mein RSS ke ek vicharak divangat Moropant Pingle ko samarpit ek kitab ke vimochan ke mauke par kaha, "Jab aap 75 ke ho jaate hain, iska matlab hai ki ab aapko ruk jaana chahiye aur doosron ko raasta dena chahiye."
Unhone 'Moropant Pingle: The Architect of Hindu Resurgence' naam ke pustak ka vimochan karte hue kaha ki ek baar Pingle ne kaha tha, "75 varsh ke hone ke baad agar aapko shawl dekar sammanit kiya jaata hai, iska matlab hai ki aapko ab ruk jaana chahiye, aapki aayu ho chuki hai; hat jaaiye aur doosron ko aage aane dijiye.
Also Read: Radhika Yadav Kaun Thi? Pita Ne Use Goli Kyon Maari, Jaaniye Reason
Kya Bharat Mein PM Ke Liye Koi Retirement Age Hai?
Image Source: X
Ji Nhi, Bharat ke Pradhan Mantri (Prime Minister) ke liye koi official retirement age limit nahin hai jo humare Samvidhan (Constitution) mein likhi ho. Iska matlab hai ki, theoretically, ek PM jab tak chahe aur jab tak unhe Lok Sabha mein bahumat (majority) ka support milta rahe, tab tak woh apne pad par bane reh sakte hain.
Kaise Kaam Karta Hai Yeh System?
PM ka pad unke political party ki jeet aur us party ke Lok Sabha mein majority seats par depend karta hai. Har 5 saal mein chunav (elections) hote hain, aur agar current PM ki party phir se jeet jaati hai aur majority banati hai, toh woh dobara PM ban sakte hain. Iski koi upper limit nahin hai ki woh kitni baar ban sakte hain.
Kya Koi Informal Rule Hai?
India me Prime Minister ki retirement Age limit kya hai? : Kuch political parties ya circles mein kabhi-kabhi anaupcharik (informal) umra seema ki baat hoti hai, jaise ki 75 saal ki umra ke baad bade padon par na rehna. Lekin yeh sirf party-internal policies hoti hain aur Bharat ke Pradhan Mantri pad ke liye kaanooni ya samvidhanik roop se laagu nahin hoti.
Toh, seedhi baat yeh hai ki, jab tak ek neta chunav jeet raha hai, uski party usse support kar rahi hai, aur uske paas Lok Sabha mein majority hai, tab tak woh Bharat ka Pradhan Mantri ban sakta hai, chahe uski umra kuch bhi ho.
Also Read: Assam Babydoll Archi Viral Hot Videos, Archita Phukan