Image Source: X
Sanatan Dharm mein Ekadashi vrat ka bahut hi vishesh mahatva mana gaya hai. Magh maas ke Shukla Paksh ki Ekadashi ko Jaya Ekadashi kaha jata hai. Yeh vrat Bhagwan Vishnu aur Maa Lakshmi ki vishesh kripa prapt karne ke liye rakha jata hai. Dharmik manyataon ke anusar, Jaya Ekadashi ka vrat karne se jeevan mein sukh, shanti aur samriddhi aati hai.
Mana jata hai ki is din vidhi-vidhan se puja aur vrat karne se jeevan ke dukh-dard door hote hain aur man ko shanti milti hai. Is vrat ka sahi samay par paran karna bahut zaroori hota hai, kyunki bina paran ke vrat ka poora phal nahi milta.
Jaya Ekadashi 2026 Date aur Shubh Muhurat
Vaidik Panchang ke anusar, saal 2026 mein Jaya Ekadashi ka vrat 29 January ko rakha jayega, jabki vrat ka paran 30 January ko kiya jayega.
Ekadashi Tithi ka Samay
- Ekadashi Tithi Shuru: 28 January, dopahar 04:35 baje
- Ekadashi Tithi Samapt: 29 January, dopahar 01:55 baje
Puja ke Shubh Muhurat
- Brahma Muhurat: subah 05:25 se 06:18 baje tak
- Godhuli Muhurat: shaam 05:55 se 06:22 baje tak
- Abhijit Muhurat: dopahar 12:13 se 12:56 baje tak
- Vijay Muhurat: dopahar 02:22 se 03:05 baje tak
In muhuraton mein puja, jap aur dhyan karna bahut hi shubh mana jata hai.
Image Source: X
Jaya Ekadashi 2026 Vrat Paran Time
Ekadashi vrat ka paran hamesha Dwadashi Tithi mein hi karna chahiye.
- Vrat Paran Date: 30 January 2026
- Shubh Paran Samay: subah 07:10 baje se 09:20 baje tak
Is duration ke beech kisi bhi samay vrat ka paran kiya ja sakta hai.
Jaya Ekadashi Vrat Paran Vidhi
Dwadashi ke din vrat paran karne ke liye neeche di gayi vidhi ka palan karein:
- Subah jaldi uthkar snan karein aur saaf kapde pehnein
- Surya Dev ko arghya arpit karein
- Bhagwan Vishnu aur Maa Lakshmi ki puja karein
- Desi ghee ka deepak jalayein
- Phal, phool aur Tulsi dal arpit karein
- Vishnu mantron ka jap aur Vishnu Chalisa ka path karein
- Satvik bhojan ka bhog lagayein
- Ant mein Charanamrit aur Tulsi patra grahan karke vrat ka paran karein
Iske alawa, Dwadashi ke din garib aur zaruratmand logon ko ann, vastra ya dhan ka daan karna bahut hi shubh mana jata hai. Aisa mana jata hai ki is din daan karne se dhan labh ke yog bante hain aur Bhagwan Vishnu ki vishesh kripa milti hai.
Also Read: Which Republic Day Is India Celebrating in 2026? 76th or 77th




















