Image Source: X
Happy Raksha Bandhan 2025: Har saal Sawan mahine ki Purnima tithi par Raksha Bandhan manaya jata hai. Is baar 9 August 2025 ko Raksha Bandhan hai. Is din sabhi behne bhai ki tarakki, lambi umar aur sukhi jeevan ki kamna karte hue uski kalai par rakhi bandhti hain. Behan ke prem aur samman ko swikaar karte hue bhai use badle mein jeevan bhar suraksha ka vachan deta hai.
Hindu dharm mein rakhi ke is parv ko bhai-behanon ke atoot vishwas, shakti aur ekta ko samarpit mana gaya hai. Iske alawa, dharmik granthon mein bhi bhai-behanon ke is pyaar bhare rishte ka ullekh hai. Yah sath insan ko bhavnatmak roop se majboot banata hai.
Wahin Bharat sahit anya deshon mein bhi Raksha Bandhan ki jhalak dekhne ko milti hai. Yah din sanskritik aur samajik mahatva ko bhi badhata hai. Is dauran jahan behne prem-sneh se bhai ko rakhi bandhti hain, wahin pyaar bhare sandeshon se unhein shubhkaamnaein bhi deti hain. Aise mein aap in khoobsurat sandeshon ke zariye apne bhai ko Raksha Bandhan ki shubhkaamnaein de sakti hain (Raksha Bandhan Wishes).
Happy Raksha Bandhan Wishes
1) Rakhi hai pyaar ka tyohar,
Behan karti hai bhai se dular
Bhai deta hai uski raksha ka vachan,
Is pyaar bhare rishte ko dil se dua.
Happy Raksha Bandhan!
2) Bhai-behan ke pyaar ka bandhan hai is duniya mein varadan,
Iske jaisa dooja koi na rishta
chahe dhoond lo sara jahan.
Happy Raksha Bandhan!
3) Rakhi ka tyohar hai,
resham ki dori hai,
Pyara sa bhai aur behano ki toli hai
Dua hai ye saath kabhi na chhoote,
Pyaar ka ye bandhan kabhi na toote.
Happy Raksha Bandhan!
4) Pyaare se bandhan mein chhipi hai
is rishte ki mithas
Rakhi ke dhaage mein basi hai
bhai-behan ki aas.
Happy Raksha Bandhan!
5) Rakhi ka tyohar hai sabse pyara,
Bhai-behan ka bandhan hai nyara
Tere jaisa bhai pa kar khush hoon main,
Dua hai tujhe mile is sansar ka sukh sara.
Happy Raksha Bandhan!
6) Bhai tere har sukh-dukh mein saath hoon main,
Tu hai aaspaas to khush hoon main
Har din ho Raksha Bandhan jaisa,
Tere liye duniya ki khushiyan maangti hoon main.
Happy Raksha Bandhan!
7) Bhai meri pehchaan hai tu,
Tu hai to main hoon
Maangti hoon tere liye har pal dua,
Meri jaan hai tu.
Happy Raksha Bandhan!
8) Aaj din bahut khaas hai,
Bhai ke liye rakhi mere paas hai
Uske sukoon ke khatir bhaiya
Teri behna hamesha tere paas hai.
Happy Raksha Bandhan!
9) Chandan ka tilak, khushiyon ki bauchhar,
Bhai-behano ka saath aur beshumar pyaar,
Mubarak ho aapko yah rakhi ka tyohar.
Happy Raksha Bandhan!
10) Rang birange mausam mein Sawan ki ghata chhai,
Khushiyon ki saugat lekar behan rakhi bandhne aai
Behan ke haathon se saji aaj bhai ki kalai,
Har bhai-behan ko Raksha Bandhan ki badhai.
Happy Raksha Bandhan!
Image Source: X
Also Read: Raksha Bandhan kyu manaya jata hai? Jaaniye poori history
Happy Raksha Bandhan Shayari
1) Saath pale saath badhe, saath-saath sab seekha,
Tune mujhe hansna sikhaya, maine jeena seekha.
Rakhi ka ye dhaaga nahi, ye to hai hamare pyaar ka bandhan,
Bhai ko behan ki taraf se, Happy Raksha Bandhan.
2) Rishta hamara jaise do jism ek jaan,
Meri har khushi tujhse, tu hi meri pehchaan.
Happy Raksha Bandhan
3) Khushiyon ke pal hon, khilkhilati subahein,
Behan ki dua hai, bhai ki zindagi mein na aaye gamon ki shamein.
Happy Raksha Bandhan
4) Bhai-behan ka pyaar hai sabse nyara,
Door rahkar bhi mahsoos hota hai tera sahara.
Happy Raksha Bandhan
5) Bachpan ki yaadon ka ek aur khoobsurat din,
Jab bhai ki kalai par sajti hai, rakhi rangeen.
Happy Raksha Bandhan
6) Kabhi ladna, kabhi roothna, phir ek dooje ko manana,
Isi mein hai bhai-behan ka rishta, aur isi mein hai khushiyon ka khazana.
Happy Raksha Bandhan
7) Bachpan ki wo shararatein, aaj bhi yaad aati hain,
Dooriyon ke baad bhi, teri yaadein mujhe khoob hansati hain.
Happy Raksha Bandhan
8) Rakhi ka ye dhaaga nahi, ye hai ek vada,
Teri hifazat ka maine, har pal iraada.
Happy Raksha Bandhan
9) Behan ka pyaar, bhai ki taaqat,
Yahi to hai hamare rishte ki haqeeqat.
Happy Raksha Bandhan
10) Sawan ka mahina, Rakhi ka tyohar,
Behan ka hai bhai ke liye beshumar pyaar.
Happy Raksha Bandhan
Raksha Bandhan Images
Image Source: X
Image Source: X
Image Source: X
Image Source: X
Image Source: X