Ganesh Chaturthi Puja Samagri: Ganesh Chaturthi ki puja mein kya-kya saman lagega

Know more about AkshayAkshay - August 26, 2025 05:59 PM

Ganesh Chaturthi Puja Samagri: Ganesh Chaturthi ka tyohar har Sanatani ke liye vishesh mahatva rakhta hai. Kaha jata hai ki is din jo bhi sachche mann se Bhagwan Ganesh ki aradhana karta hai, uske jeevan ke saare kasht door ho jaate hain.


Ganesh Chaturthi Puja Samagri: Ganesh Chaturthi ki puja mein kya-kya samaan lagega

Ganesh Chaturthi ke din shraddhalu ghar mein Ganpati Bappa ka swagat karte hain aur unki poore vidhi-vidhan se puja karte hain. Bata dein, iss saal yeh pavitra parv 27 August 2025 ko manaya ja raha hai. Is din Ganesh Sthapana ka shubh muhurat 11:05 AM se 01:40 PM tak rahega.


Ganesh Chaturthi Puja Samagri List

  • Ganesh Ji ki Murti / Pratima
  • Nariyal (Coconut)
  • Amrood (Guava)
  • Mausami Phal (Seasonal Fruits)
  • Mithaiyan – Specially Modak aur Besan Laddu
  • Naivedya – Pakwan, Panchmeva, Paan
  • Puja ki Ghanti
  • Shankh
  • Aarti ki Thali
  • Puja ki Chauki / Paat
  • Laal ya Peela Asan / Kapda
  • Panchamrit – Doodh, Dahi, Ghee, Shahad, Shakkar
  • Kalash – Jal, Nariyal & Aam ke Patte ke saath
  • Paan ke Patte
  • Supari
  • Laung & Elaichi
  • Akshat (Chawal)
  • Durva (Teen-patti wali ghaas)
  • Sindoor, Haldi, Kumkum, Roli, Chandan
  • Dhoop, Deepak, Kapoor, Agarbatti
  • Phool (Specially Laal Phool) & Mala
  • Kela (Banana)
  • Anaar (Pomegranate)

Ganesh Chaturthi Vrat Poojan Vidhi

  1. Subah jaldi uthkar snan karein aur swachh kapde pehnein.
  2. Ek chauki par laal kapda bichhakar uspar Ganpati Bappa ki murti sthapit karein.
  3. Pooja ke liye kalash, deepak, phool, phal, durva, modak, nariyal, chawal, kapoor, akshat aur anya samagri tayaar rakhein.
  4. Sabse pehle “ॐ गं गणपतये नमः” mantra ka jaap karke Bappa ko aamantrit karein.
  5. Unhe phool arpit karein.
  6. Ganesh ji ko Gangajal ya doodh se prakritik snan karaakar swachh jal se shuddh karein.
  7. Bhagwan ke maathay par chandan aur roli lagakar, unhe haldi-akshat chadhayein.
  8. Kapoor aur ghee ka deepak jalakar unki aarti karein.
  9. Aarti ke baad hath jodkar Bappa se parivaar ki sukh-shanti aur samriddhi ki prarthana karein.

About the Author:

Akshay Thakur Writter

Akshay Thakur

I'm Akshay Thakur, your fantasy sports secret weapon. 1000+ predictions across cricket, kabaddi, football, you name it - I crack the code of each game, crafting winning strategies like a seasoned alchemist. My analyses are your ultimate playbook, unveiling hidden gems and turning gut feelings into gold. Newbie or pro, I level up your game, transforming raw passion into league domination.

I am a fan of MI in IPL. My favorite player is Rohit Sharma.

So, join me, unravel the wins, and paint your fantasy realm with victories. Remember, in this game, it's not just about luck, it's about having the right guide. And with me, you're unstoppable.

More Articles from Akshay