Dhanteras 2025 Date: Dhanteras ka tyohaar har saal Kartik maas ke Krishna paksh ki Trayodashi tithi ko manaya jata hai. Is din Mata Lakshmi aur Kuber Dev ki pooja ki jati hai.
Dhanteras kab hai 2025? 18th ya 19th October mein manaya jayega?
Dhanteras ka tyohaar har saal Kartik maas ke Krishna paksh ki Trayodashi ko manaya jata hai. Is din Devi Lakshmi aur Bhagwan Kuber ki pooja karne se shubh phal prapt hote hain. 2025 mein yeh tyohaar October mein manaya gaya tha. Halanki, kuch logon ko yeh nishchit nahi hai ki Dhanteras 18 October ko hai ya 19 October ko.
Dhanteras Tithi 2025-
Is varsh Kartik Krishna Trayodashi 18 October ko dopahar 12:20 baje prarambh hogi. Trayodashi tithi 19 October ko dopahar 1:53 baje samapt hogi. Trayodashi tithi 18 October ko Pradosh kaal mein padegi, isliye Dhanteras 18 October ko manaya jaega.
Dhanteras par pooja aur kharidari ka shubh muhurat-
Dhanteras ki pooja ke liye sabse shubh samay suryast ke baad, shaam 7:16 baje se 8:20 baje tak hai. Is dauraan aap kharidari bhi kar sakte hain. Kharidari ka shubh muhurat dopahar 12:20 baje se shuru hota hai, jab Trayodashi tithi prarambh hoti hai. Is din aap sone-chandi ke aabhushan kharid sakte hain. Jhaadu aur gharelu samaan jaise anya vastuon ki kharidari bhi shubh mani jati hai. Dharmik manyataon ke anusar, is din kharidari karne se ghar mein samriddhi aati hai.