Header Banner

Bihar Election 2025 Results: LJP Candidates Seat-Wise Live Update

Chirag pic - Friday, Nov 14, 2025
Last Updated on Nov 14, 2025 12:57 PM

Image Source: X

Bihar Election Result 2025 Live: Bihar Vidhan Sabha Chunav 2025 ke results aaj declare ho rahe hain, aur poore state mein political garmiyaan charam par hain. Is baar NDA ne seat-sharing ko kaafi soch-samajh kar final kiya tha. BJP aur JDU ne 101-101 seats par apne candidates utare, jabki Chirag Paswan ki Lok Janshakti Party (Ramvilas) 28 seats par chunav lada. Iske alawa, Jitan Ram Manjhi ki HAM aur Upendra Kushwaha ki RLM ne 6-6 seats par apne candidates field kiye.

Chirag Paswan ne poore campaign ke dauraan apni party ke 100% strike rate ka daawa kiya. Unka kehna tha ki pichhle chunav mein jahan-jahan LJP (R) ne candidates utare, sabhi seats par jeet mili thi, aur iss baar bhi waise hi results aayenge. Aise mein sabki nazar is baat par hai ki unke 29 candidates ka performance kaisa raha.

LJP (Ramvilas) ke Candidates: Kis Seat Par Kaun Aage?

Niche diye gaye table mein LJP (R) candidates ki seat-wise live position update ho rahi hai:

No. Constituency (No.) Leading Candidate Total Votes Margin Position
1Sugauli (11)Rajesh Kumar alias Bablu Gupta33,08622,8318/24
2Govindganj (14)Raju Tiwari45,60012,60211/23
3Belsand (30)Amit Kumar16,3344,6894/23
4Bahadurganj (52)Mohammad Kalimuddin21,8508,0486/26
5Kasba (58)Nitesh Kumar Singh33,32611,3708/25
6Balrampur (65)Sangeeta Devi44,40018,98612/30
7Simri Bakhtiyarpur (76)Sanjay Kumar Singh27,1628,7977/30
8Bochahan (91)Baby Kumari49,69211,66112/27
9Darauli (107)Vishnu Dev Paswan32,8243,43711/27
10Mahua (126)Sanjay Kumar Singh22,7036,7847/26
11Parbatta (151)Babulal Shorya21,1542,8565/27
12Nathnagar (158)Mithun Kumar32,48814,8117/30
13Fatuha (185)Rupa Kumari33,6621,83010/25
14Brahmpur (199)Hulas Pandey24,4578168/30
15Chenari (207)Murari Prasad Gautam9,8801073/28
16Dehri (212)Rajeev Ranjan Singh15,6354,2384/24
17Obra (220)Prakash Chandra18,1334,9945/28
18Sherghati (226)Uday Kumar Singh23,0224,6187/23
19Bodh Gaya (229)Shyamdev Paswan75,5016,17019/26
20Rajauli (235)Vimal Rajvanshi32,54315310/29
21Gobindpur (238)Binita Mehta30,1989,23613/29

Image Source: X

Madhoura Seat Par Badla Equation

Madhoura seat par LJP (Ramvilas) ne Bhojpuri actress Seema Singh ko ticket diya tha. Lekin unka nomination reject ho gaya. Iske baad party ne turant decision lete hue independent candidate Ankit Kumar ko support karne ka faisla kiya. Isse seat ka political scenario poori tarah badal gaya.

Kya Chirag ka ‘100% Strike Rate’ Daawa Barkarar Rahega?

Chirag Paswan ne is chunav mein apni party ko NDA ke andar ek strong force ke taur par project kiya hai. Kai seats par unke candidates achchi lead bana rahe hain, jabki kuch seats par takkar kaafi tough hai. Final results hi ye batayenge ki kya Chirag apne ‘100% strike rate’ wale daave ko phir se prove kar paayenge ya nahi.

Conclusion

Bihar Chunav 2025 ne ek baar phir state ki politics ko nayi direction di hai. Jahan NDA ka internal coordination test par tha, wahi LJP (Ramvilas) ne apni presence ko strong karne ki poori koshish ki hai. Ab sabhi ki nazar final results par tikki hai, jo decide karenge ki agle 5 saal Bihar ka political landscape kaisa hoga.

Also Read: Bihar Election Result 2025 Live: Top 10 High-Profile Seats Latest Trends

About the Author:

Chirag Pandey Writter

Chirag Pandey

Chirag Pandey – Content & Prompt Writer

I am a skilled content writer with a knack for creating clear, engaging, and research-driven content. With expertise in data science and biotechnology, simplifies complex topics into compelling articles, blogs, news and story.A cricket enthusiast and strategic thinker and, Passionate about storytelling and SEO, I delivers content that informs and captivates readers.

More Articles from Chirag