Header Banner

Bhai Dooj 2025: Tithi, Shubh Muhurat, Puja Vidhi aur Mahatva

Chirag pic - Wednesday, Oct 22, 2025
Last Updated on Oct 22, 2025 05:29 PM

Image Source: X

Bhai Dooj Hindu dharm mein bhai-behan ke gehre sneha aur prem ka pratik mana jata hai. Ye tyohar har saal Kartik maas ke Shukla Paksha ki Dvitiya tithi ko manaya jata hai. Diwali ke baad teesre din behne apne bhaiyon ko tilak lagati hain aur unhe vishesh bhojan karati hain. Aisa karne se bhai ki lambi umar aur jeevan mein samriddhi aati hai.

Dharmik manyata hai ki agar bhai aur behan is din Yamuna nadi mein snan karein to unke jeevan se akaal mrityu ka bhay door ho jata hai.

Bhai Dooj 2025 ki Tithi aur Shubh Samay

Drik Panchang ke anusaar, is varsh Bhai Dooj ki Dvitiya tithi 22 October 2025 raat 8:16 baje se 23 October 2025 raat 10:46 baje tak rahegi.

Udayatithi ke anusaar Bhai Dooj 23 October 2025 ko manaya jayega.

Tilak ka Shubh Muhurat:
  • Dopahar 1:13 baje se 3:28 baje tak
Abhijeet Muhurat:
  • Subah 11:43 baje se 12:28 baje tak
Vijay Muhurat:
  • Dopahar 1:58 baje se 2:43 baje tak

Bhai Dooj ki Pauranik Katha

Bhai Dooj ki parampara Yamraj aur unki behan Yamuna se judi hui hai. Katha ke anusaar, ek baar Yamraj apni behan Yamuna se milne unke ghar aaye. Yamuna ne bhai ka swagat karte hue unhe tilak lagaya aur swadisht bhojan karaya.

Yamraj prasann hokar vardaan maangne lage. Yamuna ne ye vardaan manga ki jo behne is din apne bhaiyon ka tilak karengi aur unhe bhojan karayengi, unke bhai kabhi akaal mrityu ka bhay nahi payenge. Yamraj ne ye vardaan de diya aur tab se ye tyohar “Bhai Dooj” ke roop mein manaya jane laga.

Image Source: X

Bhai Dooj Puja Vidhi

Bhai Dooj par bhai ko tilak lagane aur pooja karne ki vidhi is prakar hai:

  • Snaan aur Shuddhikaran: Subah snan karke kapde dhang se pehne jaate hain.
  • Puja Thali Taiyaar Karna: Thali mein roli, chawal, diya, phool, mithai aur prasad rakhein.
  • Bhai ko Tilak Lagana: Roli se bhai ke matha par tilak lagayen aur phool chadhaen.
  • Mantra Uchcharan: Upar diya gaya Bhai Dooj mantra ucharan karein.
  • Aarti aur Prasad Dena: Bhai ki aarti karein aur mithai ya prasad bhai ko chadhaayein.
  • Bhojan Karana Bhai ko vishesh bhojan karayen aur bhai bhi behan ko uphaar dein.

Also Read: Bhai Dooj 2025: Ultimate Gift for Brother and Sister

Bhai ko Tilak karte Samay Mantra

Bhai ko tilak lagate samay behne nimn mantra ka uchcharan kar sakti hain:

“Ganga pooja Yamuna ko, Yami pooje Yamraj ko. Subhadra pooje Krishna ko, Ganga Yamuna neer bahe, mere bhai aap badhe, phule-fale.”

Image Source: X

Bhai Dooj ka Mahatva

Bhai Dooj sirf ek tyohar nahi balki bhai-behan ke rishte ki gehri bhavna ka pratik hai. Is din behne subah snan kar pooja karti hain, katha sunti hain aur apne bhai ko tilak lagakar unki lambi umar aur khushhali ki kamna karti hain.

Iske badle mein bhai apni behno ko uphaar dete hain aur unki suraksha ka vachan lete hain. Is prakar ye tyohar parivar mein sneha, samman aur ekta ko badhata hai.

Note: Yahan di gayi jankari dharmik granthon, panchang aur manyataon par adharit hai. Jankari ki sahi aur poornata ke liye adhikarik srot ki salah lena uchit rahega.

Also Read: Govardhan Puja 2025: 56 Bhog List, Puja Vidhi aur Mahatva

About the Author:

Chirag Pandey Writter

Chirag Pandey

Chirag Pandey – Content & Prompt Writer

I am a skilled content writer with a knack for creating clear, engaging, and research-driven content. With expertise in data science and biotechnology, simplifies complex topics into compelling articles, blogs, news and story.A cricket enthusiast and strategic thinker and, Passionate about storytelling and SEO, I delivers content that informs and captivates readers.

More Articles from Chirag