Image Source: X
9 July Bharat Bandh: 9 July 2025 ko Bharat ek bade deshvyapi band (Bharat Bandh) ka gawah banne ja raha hai. Yeh Bharat bandh, jise kai pramukh shramik aur kisan sangathanon ka samarthan prapt hai, desh ke vibhinn hisson mein samanya janjeevan ko prabhavit kar sakta hai. Aaiye is mahatvapurna ghatna ke bare mein vistar se jante hain.
Bharat Bandh kyu hai
Yeh Bharat Bandh ek vishaal deshvyapi hadtal hai jiska ahwaan desh ke 10 kendriya shramik sangathanon aur unse jude anya sangathanon ne milkar kiya hai. Iska mukhya uddeshya kendra sarkar ki un nitiyon ka virodh karna hai jinhein yeh sangathan 'majdoor-virodhi, kisan-virodhi aur corporate-samarthak' mante hain. Yeh virodh vibhinn arthik aur shram sudharon ke khilaf hai, jinke bare mein pradarshankariyon ka manna hai ki ve aam janta aur shramikon ke hiton ko nuksan pahuncha rahe hain.
Yeh Bharat Bandh Budhwar, 9 July 2025 ko aayojit kiya ja raha hai. Iska matlab hai ki Budhwar ko poore din deshbhar mein iska asar dekha ja sakta hai, khaaskar un kshetron mein jahan shramik sangathanon aur kisan unionon ki majboot pakad hai.
Kon Bharat Bandh union hadtal mein shaamil hain?
- Indian National Trade Union Congress (INTUC)
- All India Trade Union Congress (AITUC)
- Hind Mazdoor Sabha (HMS)
- Centre of Indian Trade Unions (CITU)
- All India United Trade Union Centre (AIUTUC)
- Trade Union Co-ordination Centre (TUCC)
- Self Employed Women's Association (SEWA)
- All India Central Council of Trade Unions (AICCTU)
- Labour Progressive Federation (LPF)
- United Trade Union Congress (UTUC)
Bharat Bandh ka reasons
Image Source: X
- Shram Sudharon ka Virodh: Unions ka kehna hai ki sarkar ke 4 naye labor code majdooron ke adhikaron ko kamzor karte hain, jismein union gatividhiyan seemit karna, kaam ke ghante badhana aur naukriyon ko asurakshit banana shamil hai.
- Nijikaran aur Theka Pratha: Sarvajanik udyamon ke nijikaran aur contract par naukriyon ko badhava dene ki nitiyon ka virodh.
- Kisanon ke Mudde: Sanyukt Kisan Morcha bhi hadtal mein shamil ho raha hai aur MSP guarantee, Krishi kanoonon ko lekar sarkar par dabav bana raha hai.
- Mahangai aur Berozgari: Unions ka arop hai ki sarkar ne majdooron ke liye nyuntam majdoori badhane, pension yojana bahal karne aur rojgar srijan ki mangon ko nazarandaz kiya hai.
Bharat Bandh mein kya-kya band rahega?
Image Source: X
Bank aur Beema: Public sector banks aur beema companiyon ke karmchari hadtal par rahenge, jisse len-den aur check clearance prabhavit ho sakta hai. Bata dein, bank unionon ne alag se sewaen badhit hone ki pushti nahi ki hai, lekin hadtal aayojakon ka kehna hai ki public sector aur cooperative banks ke karmchari shamil hain.
Share Market aur Bullion Market: yani 9 July ko share aur sarrafa market dono khule hain.
Daak Sewaen: Post office aur courier sewaon mein vyavdhan ki ashanka.
Koyla Khanan aur Factories: Coal India aur anya sarvajanik udyamon mein kaam thapp rahega.
Sarkari Parivahan: Kai rajyon mein buson aur taxi sewaen prabhavit hongi, lekin private vahan chalte rahenge.
Railway: Halanki railway unionon ne aupcharik hadtal nahi ki hai, lekin kuch ilakon mein pradarshanon se local trainen prabhavit ho sakti hain.