Ganesh Chaturthi 2025: Bappa Ko Kaunsa Bhog Chadhaye?

By Akshay
August 26, 2025

Ganesh Chaturthi par bhakt Bappa ko bade dhoom-dham se apne ghar aur pandalon mein sthapit karte hain aur das din tak unki bhakti aur utsav manate hain.

Subah aur shaam ki aarti ke time mahaul bahut hi shaant aur pavitra hota hai. Log ek saath milkar bhajans aur kirtans gaate hain aur Bappa ki poori shraddha se puja karte hain.

Ganesh Chaturthi par alag–alag tarah ki mithaiyan aur dishes banayi jaati hain. Unmein se sabse khaas bhog hai Modak aur Besan Laddu

Aap chahe to besan aur mawa ke bajaye sabziyon se bhi tasty mithai bana kar Ganpati Bappa ko bhog laga sakte hain.

Lauki ko grate karke usmein doodh, cheeni, elaichi aur dry fruits daal kar slow flame par pakayein. Thanda karke jamayein aur barfi ka shape de dein.

Kaddoo ko roast karke doodh aur cheeni ki chashni ke saath pakayein. Ghee lagayi hui plate mein daal kar jamayein aur pasand ke shape mein kaat lein.

Chukandar ko ubaal kar paste bana lein. Usmein ghee, nariyal aur dry fruits daal kar pakayein. Jab set ho jaye toh tukde kaat kar barfi ki tarah serve karein.

Modaks, Motichoor Laddu, Puran Poli, Kheer- Bappa Prasad

See More Stories