By Akshay
October 14, 2025
Diwali ek bahut hi mahatvapurna tyohar mana jata hai. Aisa kaha jata hai ki is din Bhagwan Ram 14 saal ka vanvaas poora karne aur Lanka ke raja Ravan ko hare ke baad Mata Sita aur apne bhai Lakshman k
Is varsh Diwali 20 October ko hai. Yeh tyohaar har saal Kartik maas ki amavasya ko manaya jata hai. Is din dhan ki devi Lakshmi aur Bhagwan Ganesh ki pooja ki jati hai
Diwali ke din ann daan karna atyant shubh mana jata hai. Is din ann daan karne se aapke ghar mein kabhi ann ki kami nahi hogi.
Agar aap Diwali ke din kisi gareeb vyakti ko kapde daan karte hain to isse Devi Lakshmi bahut prasann hoti hain aur Devi Lakshmi ki prasannata se aapke ghar mein dhan ka aagman ho sakta hai.
Agar aap chahte hain ki aapke ghar mein sakaratmak urja ka vaas ho aur nakaratmak urja khatam ho to iske liye aapko Diwali ke din ghee ka daan karna chahiye.
Diwali par tel daan karne walon ko karz ki samasya se mukti mil sakti hai aur atka hua dhan bhi wapas mil sakta hai.
Diwali ke din kisi gareeb vyakti ko jhadoo daan karne se parivaar ke sadasyon ki aay mein vriddhi hoti hai aur parivaar par koi apriya ghatna nahi ghatti. Diwali ek bahut hi mahatvapurna tyohaar mana