By Akshay
October 17, 2025
Diwali ko bahut hi mahatvapurn tyohar mana jaata hai. Kaha jaata hai ki is din Bhagwan Ram 14 saal ka vanvaas poora karke aur Lanka ke raja Ravan ko haraakar Mata Sita aur apne bhai Lakshman ke saath
Iss saal Diwali 20 October ko hai. Yeh tyohar har saal Kartik mahine ki Amavasya ko manaya jaata hai. Is din dhan ki devi Lakshmi aur Bhagwan Ganesh ki pooja ki jaati hai.
Aapko Diwali par apne ghar ke main gate par diya jalana chahiye. Isse aapke ghar mein positive energy aayegi aur negative energy khatam ho jaayegi.
Jo log bahut zyada karz se pareshan hain aur rahat chahte hain, unhe apne aangan mein diya jalana chahiye. Kuch hi dino mein natije dikhne lagenge.
Agar aap chahte hain ki aapke ghar mein dhan aaye aur aapki tijori bhar jaaye, toh aapko Tulsi ke paudhe ke paas ek diya jalana chahiye. Yeh sabse asardaar upay hai.
Agar aap Diwali ke din kitchen mein diya jalate hain, toh Maa Annapurna bahut khush hoti hain, aur Maa Annapurna ki khushi se aapke ghar mein dhan ki kabhi kami nahi hoti.