By Akshay
October 16, 2025
Hindu dharm mein Diwali bahut utsah ke saath manai jati hai. Bachche kai din pehle se hi patakhe jala kar Diwali manana shuru kar dete hain
Is khaas mauke par, bachchon ke maze aur suraksha ki zimmedari mata-pita ki hoti hai. Aaiye jaanein ki bachchon ke saath patakhe jalate samay kya savdhaniyan baratni chahiye.
Patakhe jalate samay bachchon ko kabhi akela na chhodein. Unhein hamesha bado ki dekhrekh mein hi patakhe jalane den. Chhote bachche aksar josh mein aakar aisa karte hain, jisse durghatna ka khatra b
Patakhe jalate samay bachchon ko sooti kapde pehnayein. Synthetic kapde jaldi aag pakadte hain aur jalne ka khatra badh jata hai.
Kabhi-kabhi patakhe turant nahi jalte, lekin thodi der baad phat sakte hain. Aise patakhon ko dobara jalane ki koshish kabhi na karein.
Patakhe jalate samay bachchon ko goggles ya transparent shield pehnayein. Tez aawaz se hone wali pareshani ko kam karne ke liye halka earplug pehnana bhi zaroori hai.
Patakhe jalate samay bachchon ke paas paani ya ret ki balti jarur rakhein. Agar galti se koi patakha aapke kapdon ya haathon par lag jaye, to turant uspar paani daalein ya aag bujhane ke liye kapde s
Aise patakhe na jalayein jinse bahut zyada shor ya dhuan ho. Pakka karein ki aas-paas koi buzurg, beemar log ya paaltu jaanvar na hon jinhen pareshani ho sakti hai.