By Akshay
October 23, 2025
Chhath Puja parivaar mein swasthya, samriddhi aur shanti lane ke liye manayi jati hai. Bhakt nirjal vrat rakhte hain aur Surya Dev ki pooja karte hain.
Chhath Parv chaar din tak manaya jata hai. Har din ka apna vishesh mahatva hota hai aur isse poori lagan aur shraddha ke saath manaya jana chahiye.
Chhath Parv ka pehla din Nahay Khay hota hai. Is din vrat rakhne wale apni pavitrata ka poora dhyan rakhte hain. Ve snan karte hain, saaf kapde pehente hain aur saadha, shuddh bhojan karte hain.
Kharna se nirjala vrat shuru hota hai. Shaam ko gud aur chawal ka ek vishesh vyajan banakar khaya jata hai. Yeh urja aur bhakti ka prateek hai.
Teesre din Suryast ke samay kisi nadi ya talab ke kinare Suryadev ko arghya diya jata hai. Yeh din bhakti aur sanyam ka prateek hai.
Chhath parv ke chauthe din Suryoday ke samay Suryadev ko arghya dekar vrat ka samapan kiya jata hai. Yeh din aashirwad, swasthya aur samriddhi ka pratik samjha jata hai.
Is parv mein 36 ghante ka nirjala vrat rakha jata hai. Is dauran tan aur man donon ki pavitrata avashyak hai. Niyamon ka palan karte huye bhakti aur vishwas ke saath pooja karna zaroori hota hai.