By Chirag
October 24, 2025
Chhath Puja Surya Dev aur Chhathi Maiya ko samarpit ek pavitra aur mahatvapurn mahaparv hai.
Chhath Puja ka 1st day Nahay-Khay se shuru hoga, jo is baar Shanivar, 25 October ko manaya ja raha hai.
Is saal Chhath Puja 25 October 2025 se shuruaat hone ja rahi hai.
26 October ko Chhath Puja ka 2nd day hoga, jab Kharna ka pavitra vrat manaya jayega.
Iske baad 3rd day, 27 October ko sandhya arghya arpit kiya jaayega.
4th day, yaani 28 October ko ugte Suraj ki puja ki jaati hai aur isi din vrat ka samapan (paran) bhi hota hai.