By Chirag
October 25, 2025
Chhath Mahaparv mein swachhta aur shuddhata zaroori hai. Pehli baar vrat kar rahe hain to in baaton ka dhyaan rakhein.
Chhath Puja mein saaf-safaai aur pavitrata ka bahut mahatva hai. Vrati pooja ka samaan bina haath dhoye na chhuein.
Chhath ke 4 din tak vrati aur ghar ke sabhi sadasyon ko pyaaz, lahsun, maans-madira adi cheezon ka sevan se bachna chahiye.
Chhath Puja mein Surya Bhagwan ko arghya dene ke liye mitti ya tambe ke bartan ka istemal karein.
Chhath mein mahilayein kaale rang ke kapde na pehnein, saath hi paani mein utarte samay sile hue kapde nahi pehnein.
Chhath Puja mein vrati ko farsh par chadar bichakar hi sona chahiye.
Chhath Puja ke dauran vrati gussa, jhooth aur hinsa se door rahein.